tere gulab se honton ki tazgi ki qasam bahaar ki koi aahat sunai deti hai nazar ki jhil mein mujh ko utarne wale hayat aur bhi rangin dikhai deti hai abhi abhi ye hasin khwab main ne dekha hai agarche tum mere itne qarib aai ho ki tum ko chhu lun to shayad hi chhu sakun ya phir nazar jo tum se milaun yaqin na tha is ka jawan hai raat hasin chandni hasin tare falak pe dur kahin kahkashan si bikhri hai surur-o-kaif mein dubi hui hai baad-e-saba hayat bhi to simat kar hai phaili phaili si fazaen pyar ki khushbu se sab moattar hain mohabbaton ke qadam aasman se upar hain uthi nigah to ye arsh se pare dekha khala mein ambarin khushbu ke khushnuma baadal bane hain ek sarapa hasin paikar ka utar rahe hain zamin par tera wajud liye sama rahe hain mere jism-o-jaan ke yun andar mera wajud bhi tera wajud ho jaise uda rahe hain hamein apne dosh par le kar zamin se dur kahin aasman ki choti par khuli jo aankh to ye khwab-e-dilbari tuta tumhaara sath usi mod par kahin chhuta batao kya hai mere khwab ki hasin tabir tumhi batao mere khwab ki hasin tabir