kyun jagate ho mere sine mein ummidon ko rahne do itna na ehsan karo main to pardesi hun aur aai hun do din ke liye kal chali jaungi ya parson chali jaungi aur phir aane ka imkan nahin roz yun ghar se nikalna bhi to aasan nahin kyun jagate ho mere sine mein ummidon ko kyun jalate ho mere dil ke charagh main ne ye sare diye khud hi bujha dale hain aap is basti ko tarik bana rakkha hai jis tarah jang ki raaton ko bade shahron mein batiyan khud hi bujha dete hain zindagi ke sabhi aasar mita dete hain is tarah main ne ye sare diye khud hi bujha dale hain aap is basti ko tarik bana rakkha hai is pe har raat nae hamle hua karte the aasmanon se kai dushman-e-jaan tayyare inhin shamon ka nishana rakh kar bam gira jate the aur aag laga jate the is ko tarik hi tum rahne do dil ki duniya mein ujala na karo meri ummidon ko madhosh pada rahne do tum nahin manoge? tum dekhte hi jaoge? achchha dekho! lo jalao mere sine ke charagh dil ki basti mein charaghan kar do phir mere jine ka ya marne ka saman kar do