ab jo sochen bhi to khauf aata hai kis qadar khwab the jo khwab rahe kis qadar naqsh the jo naqsh sar-e-ab rahe kis qadar log the jo dil ki dahliz pe dastak ki tarah rahte the aur nayab rahe kis qadar rang the jo band galiyon ke kham-o-pech mein chakraate rahe apne hone ki tab-o-tab mein lahraate rahe par kabhi aap se bahar na hue phul ke hath mein zahir na hue dil ke girdab mein tute hue patton ki tarah hama-tan raqs rahe khun be-nam sitaron ki tarah aks dar aks rahe kaise aadarsh the jin ke sae sansanate hue tiron ki tarah chalte the hast aur nist ke mabain ajab rishta tha ruh ki aag bhadakti to badan jalte the wo shab-o-roz the kya jab kisi khwahish bedar ki tughyani mein waqt ki qaid se lamhat nikal jate the khun mein jab bhi sulagta tha irada koi aahani tauq tamazat se pighal jate the 2 aankh ke dasht mein ab lakh alaw dekhen ruh ki barf pighalti hi nahin ab wo aadarsh kabhi waqt ki ret se jhanken bhi to yun jhankte hain jis tarah tutta tara koi ek lamhe ke liye kaund ke chhup jata hai kis qadar khwab the jo khwab rahe ab jo sochen bhi to khauf aata hai