phir usi shahr mein aae ho palat kar ki jahan chand hote hain jo tum ne dikhae the khwab chand din hote hain jab tum ne sajae the gulab jin mein khushbu bhi thi aur rang bhi manind-e-shahab tum gae khwab rahe aur zamane ke azab dhundte rah gae lab kitne sawalon ke jawab ab jo aae ho to itna sa karam kar jaana ab ke bimar se khwabon ki mahak mat lana ab jo dikhlana to kuchh khwab nae dikhlana aise kuchh khwab zaminon ko jo shadab karen aise kuchh khwab jo shahron ko bhi shadab karen aise kuchh khwab jo taqdir khayalat ke hon aise kuchh khwab jo miras hon insanon ki tum jo aisa na karoge to wahi gham honge rabt-e-baham ke na asbab faraham honge mutmain khud se kahin tum na kahin hum honge