chola badalne se khaslat nahin badalti logo tum apne sehhat-mand jism par chahe kitna hi ghaza mal lo us se ruh ke zakhm kabhi bhar nahin sakte ruh ki pyas bujhane ke liye tumhein in hi mitti se ubalte hue chashmon ki zarurat hogi ek din khushbu ban kar aakash par udne walon ko bhi abadi sukun mitti ke hi bistaron pe mila karta hai waqt thahar jata hai jahan jamid lamhon ke sae mein milte hain do pyar-bhare dil takhliq-e-nau ka khumar liye wahi sach hai wahi taqwe ka asli jahan wahi hai khuda ka azli makan