KHwab ke sannaTe

phir wahi umr-e-gurezan ka malal
phir wahi kashmakash-e-mazi-o-haal

anginat khwab
ladakpan ke jawani ke sulagte hue jazbon ke mah-o-sal ke khwab

ek ek lamha
bikharta sa simatta sa

khad-o-khal ke sau rang liye
qahqahe majlis-e-ahbab shagufta chehre

ek aasuda tamanna ka dayar
jaise nau-khez shagufon ki bahaar

aur ab khwab ke sannate mein
umr ki nisf-sadi puchh rahi hai mujh se

tum ne kya khoya hai kya paya hai
waqt ki dhup mein tapte hue sahra ka khayal

ek marti hui tahzib ka nadida jamal
gham-e-insan gham-e-dauran gham-e-jaanan ka sawal

yaad hi umr-e-gurezan ka malal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close