mere wajud ka makan khar-dar tar ka hisar jis ke ird-gird aadmi ka khun pine wali zard jhadiyon ke khar-dar hat hain meri zamin ke ird-gird kahkashan ke khar-dar daeron ka raqs hai zamin se aasman tak wajud apne an-ginat hawas ka gunah hai shuur-o-lams-o-lazzat-o-maqam ke sarab hain main puchhta hun sang mein gudaz pamba dhundne se kya mila ye zindagi yahi to hai ki reza reza jama ki hui mata-e-zist ko hawa-e-tund phenk aae dasht-e-be-sawad mein meri nazar ke samne na jaane kitne jism the ki tut kar bikhar gae main aise haul-nak tajrabon ke ba'd bar bar khud ko yun sanbhaalta hun jaise apne hat se main gir ke tut jaunga mera badan aziyyaton ka khwan hai kabhi main barf ki silon ki hun ghiza kabhi main tirgi ka rizq hun kabhi mere liye hai nok-dar khanjaron ka takht-e-khwab aur aaj un aziyyaton ke darmiyan mera wajud jaise mujh ko chhod kar chala gaya main barg-e-sabz tha jise khizan ka hat shakh-e-tar se tod kar chala gaya main ek samt falsafe ke an-ginat nikat ki panah hun aur ek samt aagahi ke jabr ki karah hun musabqat ke daur mein wo saaten bhi aa gain ki husn aur ishq mein mataa aur mushtari ka ramz jagne laga na ishq itna be-khabar na husn itna mo'atabar ki be-dalil qaziya-e-wafa ki dad de sake ye kaenat be-hisi ki ek basit shakl hai na zindagi ka kuchh asar na maut se koi khatar ab aisi kaenat mein is ek reza-e-wajud ke hawas kya karen ab aise sard jism ki barahnagi ko dekh kar khulus-o-mehr-o-lutf ke hasin libas kya karen