kitne khubsurat hote hain na aur thode sar-phire bhi ye chalna nahin chahte bas udna chahte hain bharna chahte hain ek aisi udan jahan zamin ki haqiqat ho aur aasman ke par ki kalpana bhi jahan waqt sa thaharna ho aur khushbu sa bikharna bhi ye sajna chahte hain sanwarna chahte hain khud mein bharte hain rang le kar titliyon se udhaar chamak uthte hain khud ko chandni se sanwar tankte hain kuchh ujle sitare bhi phir takte hain aaenge din hamare bhi dekhte hain har nazar mein hazaron sawal kahte hain khud se na dar tu sambhaal din mein sajte hain shauq se khwahish ke bazaron mein raaton mein bahte hain khauf se ashkon ke dhaaron mein bahut khush-nasib hoti hai wo aankhen jin mein khwab rahte hain hain mukammal wo ashk bhi jin mein khwab bahte hain