hisar-e-ranj mein rahte hue tujhe chahun ghubar-e-rah-e-yaqin mein sada tujhe dekhun jabin-e-waqt pe har-an bas tujhe likkhun charagh-e-hijr banun raat-bhar teri aankhon ke jangalon mein karun raushni udaun teri sunahri nind andheron bhare makanon mein tere wajud se apna wajud bandh ke main samundaron mein karun raqs jal-pari ki tarah sunaun shairi tujh par likhi ghazalon ko banaun lams tera itr mein karun nilam tamam-shahr ke aage use bane jannat har ek daricha khule jo qaba teri hi mahak uthe jahan se bhi guzrun faqat teri khushbu kare tawaf mera ku-ba-ku faqat to ho ai shakhs tere jamal-e-jawan ki saugand dhadak raha hai hamesha meri ragon mein tu tera sarapa adab ki kitab jaisa hai tujhe padhun tujhe likkhun tujhe sunun har-waqt kisi sahife ki tafsir tarjuma tera jism kisi qadim qalam se likha hua tera ism kisi charagh se milta hua tera chehra kisi dahakti hui sham si teri aankhen kisi bikharti hui dastan si zulfen kisi gulab se aarasta tape hue gal larazte hont shikasta-sukhan dara lahja chamakte hath sulagti hui jabin pe jami ghamon ki gard mujhe ki rahi hai chum ke main nidhaal pair tere aable ginun sare thakan sari utarun teri dabaun sar pilaun sharbat-e-sandal sanwar ke tere baal karun main pyar se kanghi likhun safar pe tere main aisi nazm koi jo tujhe rakhe sarsabz teri bujhi hui aankhen bharun main khwabon se tere dukhon ka sukhon se sada ilaj karun sunaun nazm tumhein main gale laga ke nai tumhaari shirt pe mein aansuon se kaj karun