umr ka suraj siwa neze pe aaya garm shiryanon mein bahte khun ka dariya bhanwar hone laga halqa-e-mauj-e-hawa kafi nahin wahshat-e-abr-e-badan ke waste aaghosh koi aur ho warna yun murda sadak ke khwab-awar se kinare be-khayali mein kisi thuke hue bachche ki uljhi sans mein lipti hui ye zindagi! zehn par bar-e-giran band qaba ke lams ka ehsas bhi aur shahr-e-habs mein rasta koi khulta nahin shakh tanha se biye ka ghonsla girta nahin wahshat-e-abr-e-badan ki khushk-sali ek chullu lams ke pani ki muhtaj ko roti hai magar! dekhna aawara kirnen dekhna jin ko raston mein bikharti titliyon si ladkiyon ke zer jamon aur shirin jism ke halke masamon tak safar ka izn hai umr ka suraj siwa neze pe aaya ab kitabon, takhtiyon ki be-maza chhanw tale ghutta hai dam ab badan chhupta nahin akhbar ke malbus mein ab faqat uryaniyan lekin yaqinan mar dalegi kahin in bhare shahron ki tanhai hamein