sanjay bole utar dakshin purab pashchim ab koi bhi manzar saf nahin naqshe hain kai pile nile do sayyare upar niche ek suraj se takra hi gaya har samt wahi pili aandhi aur andhe jhakkad shoalon ke tum kis nuqte ki puchhte ho ab koi bhi manzar saf nahin ab koi nahin han wo bhi nahin ye kis ka khwab tamasha hai main jis mein akela ghumta hun har samt wahi pili aandhi aur andhe jhakkad shoalon ke pal pal mein ubharti auj chatakh kar tutti girti chattanen hain ab koi nahin bas meri aankhen dekhti hain bas meri aankhen dekhti hain