kal shab jab suraj ne apni aankhen mundin apna daman khincha aur hawa ka sarpat ghoda bandh diya aur falak par ek jaanib se chadar matyali si tani pariyan halke simin un ke par raftar khiraman utren dhire dhire jaise par hon dosh-e-hawa par utren pariyan mil kar raqsan raqs ki lai maddham si aahat raushan shabnam si lai halki sur dhima dhima chandi si chadar mein pariyan simin pariyan ek tasalsul ek ada se utrin utrin shakh-e-shajar par chhat par dar par farsh-e-siyah par ye sab raushan the ujle the jaise abraq chupke chupke chhed rahi thin shakhon ke barbat ko jaise nind mein khoya mutrib apni ungli ki jumbish se khwab-awar naghmat jagae hathon mein tha saz anokha lab pe khamoshi ke naghme the raqsan raqs ki lai maddham si raqs mein thin shab simin pariyan farsh tha ab ujla ujla sa shakh-e-shajar ka chhat ka dar ka chandi ka sa tha pairahan un ke lams mein ek jadu tha har ek shai se ek anokhi hiron jaise aab thi paida uncha ped sanobar ka mauhum asa hathon mein thame jashn-e-shab ko dekh raha tha rangat us ki badli badli yun goya tha main ne dekha hai raat ka rahi waqt se pahle ek maili si chadar odhe gahri nind mein duba naddi-nale gum-sum jharne chup chup main ne dekha ujla ujla khema gul ka shakh shajar ka chandi ka sa tha pairahan bhara hua tha chandi-far se shab ka daman