tanhai ko khwab ki dastak dete dekha dekha ek gumbad ke niche khada hua hun sunta hun khud ki aawazen ye aawazen mujh ko wapas le jati hain khwabon ke us murda-ghar mein jo bilkul tarik pada hai jis mein mere mazi ke kirdaron ke kuchh kafan pade hain un logon ke jo zinat the in khwabon ki lekin un kirdaron ki ab shakl nahin hai ek tariki hai badbu hai khamoshi hai murda-ghar ke pardon se meri aawazen jhul rahi hain jin se ek chamgadad ka nanha sa bachcha khel raha hai sadkon par kohram macha hai kuchh to hua hai log mare hain lahu baha hai aur ye chamgadad ka bachcha meri tanhai ka waris meri aawazon ki larzan ungli thame mujh ko us manzar ki jaanib khinch raha hai jahan kisi nanhe bachche ki lash padi hai aur wo chamgadad ka bachcha mere zehn ki sukhi parton mein ehsas ka resha dhund raha hai aur is thandi lash pe baitha sisak raha hai