main to ek wajud-e-khayal hun mujhe jis tarah se bhi soch lo main yaqin bhi hun main guman bhi hun main yahan bhi hun main wahan bhi hun kabhi fikr mein kabhi zikr mein kabhi josh mein kabhi hosh mein kabhi khud se khud ki talash mein kabhi main nahin kabhi jaan nahin ki main mubtala-e-junun hun main khudi mein khud ka sukun hun yahi ishq hai mera karwan main kidhar nahin main kahan nahin mera yar mujh mein main yar mein main hun be-khudi ke khumar mein mera yar mujh mein hai raqs-zan main rawan rawan bhi rawan nahin meri rahaton mein tu jalwa-gar meri wahshaton ka tu ham-safar mera hijr tu mera wasl tu mere ghar ka ek pata hai bas jahan tu nahin main wahan nahin