mere hamraaz ai mere hamdam mere sathi mere sharik-e-safar is qadar kyon nidhaal ho bolo is qadar kyon udas ho bolo tum ne khwabon se rishta kyon toda aur aankhen thakan se chur hain kyon kyon qadam ruk gae mere sathi hai safar to abhi bahut baqi aur manzil bahut hai dur abhi kuchh batao ki kyon khamosh ho tum kyon bhatakne lage khayalon mein ye na samjho ki dukh tumhaara hai ye na socho ki tum akele ho har qadam par tumhaare sath hun main lao de do tum apne dukh sare main tumhaare ghamon ko pyar karun aur talwon ke aablon ko bhi apne ashkon se khud main saf karun jitne kante chubhen hain chun lun main phir koi khwab bhar dun aankhon mein tabnaki hayat ko de dun raste-raste ko murgh-zar karun jis se rahat mile tumhein hamdam jis se sansen bhi mushk-bar banen phul honton pe muskura utthen aur umangen jawan hon jis se hausla tum ko jis se mil jae aur aankhen tumhaari khwab bunen jis se tum faslon ko tai kar lo reg-zaron mein muskura ke chalo rah-e-manzil mein tum kabhi na ruko ki jo manzil pukarti hai tumhein wahi manzil hai meri manzil bhi meri jannat tumhaari khushiyan hain tum ne samjha hai jis ko khak-e-pa wo chamakte hue sitare hain un sitaron se mang main ne bhari un sitaron se zindagi hai meri un sitaron se zarfishan hai hayat mere lab par hain pyar ki sargam un se khilte hain aarizon pe kanwal un se aankhon mein khwab palte hain jin se din la-jawab hote hain lao de do tum apne dukh sare main tumhaare ghamon ko pyar karun hausla tum ko jis se mil jae aur aankhen tumhaari khwab bunen