daeron mein ghiri raqs karti rahi apne mehwar pe rah kar thirakti rahi dhup mein chandni mein har ek gam par kashmakash se jahan ke guzarti rahi badliyan jhum kar khub barsin magar meinh barasta raha main jhulasti rahi nek-o-bad ki taraazu uthae hue apne jazbaat mein aap ghutti rahi aasmanon se barsi hui aag se para-para hui ki jhulasti rahi zulm ke pasbanon ke saye tale zakhm khati rahi war sahti rahi kitne tufan mujhe raund kar badh gae zalzalon ki tabahi bhi sahti rahi daeron se nikalna to mumkin na tha daeron mein ghiri raqs karti rahi