KHwahish

koi sham ki aahat se pahle
koi sham ki aahat se pahle

dhalti hui sah-pahar mein
phone kar ke bulae mujhe

kahin kisi
sarsabz lawn mein bitha kar

achchhi si chae pilae mujhe
aur

chae ke sath
ek mahfil jame

kuchh naghme barsen
kuchh sher uden

kuchh khatti mithi si
dhimi dhimi si

baaten banen
aur baaton baaton mein

tham kar hath mera
wo dhime se ek sargoshi kare

mujh se mohabbat ka dam bhare
main uljha uljha soche jaun

us pal ko sadiyan saunpe jaun
phir soch kar kuchh kahun us se

jo kaha hai
phir se dohraoge

sach kaho mere ho jaoge
wo daba kar nichla lab apna

bhar ke aankhon mein
sab kuchh apna

dhime se sar hilae
haule se mera hath dabae

aur
muskura kar kahe

han mujhe tum se mohabbat hai
aur is iqrar ke baad achanak se

kale baadal ghir kar chhaen
thandi si purwai chale

aur
aasman is iqrar ke sadqe

hum pe
bhige bhige phul barsae

aur us tez barish mein
hum donon

dur kisi bagh ke goshe mein
bhige bhige lipte khade hon

koi to aisa bhi shakhs aae
sham ki aahat se pahle

dhalti hui sah-pahar mein
phone kar ke bulae mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close