main

rakh rakh badan le kar
dhuan dhuan shagun le kar

raat ki andheri galiyon mein
intizar sulgata hun

main us ke aur apne waste
bar bar dohraata hun

milata hun bar bar number
mila kar kat dalta hun

main us ki pinhaiyon mein mukhil ab to
ho nahin sakta

aur apni tanhaiyon ki babat
use kuchh kah nahi sakta

qatra qatra tapakti rahti hai
raat ki chhat aur

badan ka lahu jalta hai
ungliyon mein cigarette

sulagta rahta hai
aur

waqt ki dahliz par
dafn shuda main

apne marqad par chadar chadhata rahta hun
khud ko haqiqat mein

bas jalata rahta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close