main ne aashaon ki aankhen chehre hont aur nile bazu noch liye hain un ke garm lahu se main ne apne hath bhigo dale hain dopahron ki tapti dhup mein khwahishen apne jism utha kar chobi khidki ke shishon se aksar jhankti rahti hain aankhen hont aur zakhmi bazu jaane kya kuchh mujh se kahte rahte hain jaane kya kuchh un se kahta rahta hun raat gae tak zakhmi khwahishen bistar ki ek ek silwat se nikal nikal kar roti hain aur sahar ko un ke khun se apne hath bhigo leta hun