hum apni barahnagi chhupate phirte hain aisi haalat mein taaruf ka falsafa diwangi mein badbadana hota hai bikhri chizon ke ambar mein kis kis ka rutba yaad rakhte hum ne marzi ki tartib bana li khushbu ka ehtimam kahan se karte badbu hamein zyaada pur-tapaki se mili hum apne hi jismon ko chhu kar khush ho jaane wale sadand deti chizon se safai mang rahe hain hamare gharon ki chhaton par be-awaz barish hoti hai hum jhulaste kamron mein pani ke khwab dekhne ke liye apne bistaron se dur ja ke sote hain hamari aankhon ke shishon mein nind nahin maut aa ke apna chehra dekhti hai hum wo ukhde raste hain jis ko gird ke pahre-daron ne hamwar nahin hone diya hamari tawil sarguzisht mein takrar hi takrar hai hamein sirf ek rukh wale safhe par tahrir kiya gaya jo apne pahle hisse se aa milta hai