resha resha git ka gota har ek ang mein raqs sans ke bhitar koyal bole panchhi jaisa shakhs ungli ke chhalle mein raj kamal ke gore pankh hae re mori pit nigodi hae re more pankh galon par ghaze ke pichhe dard ke sukhe phul lachkili banhon ki shakhon par nafrat ki dhul thumri ke bolon mein pinhan aklape ka bain din aankhon mein kat jata hai kaise kate ye rain qaus-e-quzah se pairahan mein sundar sundar jism honton ki phislan par girta padta kora ism kali kali qismat un ki nile pile khwab itne rangon mein apni pahchan bhi ek azab