yaad ek be-rang be-mahak murjhaya hua gulab jis ke kanton ki chubhan baqi rahti hai sada yaad-e-mazi ki banai hui ek dhundli taswir mel nahin khata jis se haal ka chehra phir bhi lagi hai dil ki diwar par yaad tuta-phuta ek aisa khilauna jis se insan dil bahlana chahe be-kar hone ke bawajud use phenkna nahin chahe yaad ek sarab zist ke registan mein jo aur bhi badha de thake haare musafir ki pyas