meri jaan go tujhe dil se bhulaya ja nahin sakta magar ye baat main apni zaban par la nahin sakta tujhe apna banana mojib-e-rahat samajh kar bhi tujhe apna bana lun ye tasawwur la nahin sakta hua hai bar-ha ehsas mujh ko is haqiqat ka tere nazdik rah kar bhi main tujh ko pa nahin sakta mere dast-e-hawas ki dastaras hai jism tak tere samajhta hun ki tere dil pe qabza pa nahin sakta tere dil ki tamanna bhi karun to kis bharose par main khud dargah mein teri ye tohfa la nahin sakta meri majburiyon ko bhi bahut kuchh dakhl hai is mein tujhi ko morid-e-ilzam main thahra nahin sakta main tujh se badh ke apni aabru ko pyar karta hun main apne izzat-o-namus ko thukra nahin sakta tere mahaul ki pasti ka tana dun tujhe kyun kar main khud mahaul se apne rihai pa nahin sakta