hum khwab-zada pile mausam ke angaron se jale hue palkon mein rang-birange khake bhare hue sanson ko roke hue musalsal khwabida hain dekh rahe hain khud ko jangal aur pahadon ke shanon par udte hue aag ugalte jharnon ki banhon mein naghme gate hue khush-paikar ru-posh parindon ke ham-rah faza ki wusat ko larzida karte hue sayyaron aur kahkashaon ki duniya se bhi kuchh aage badhte hue nile sagar ke gahre sine mein parbat ki choti par munge ki gul-rang chattanon par lahron se ladte hue hum khwab-zada pile mausam ke angaron se jale hue jine ki khwahish mein aise lamhe roz chura lete hain khud se khud ka karb isi tewar se roz chhupa lete hain aankhen kya khulti hain pagal barah-singhon ke hamlon se khud ko ghira hua pate hain hum himmat ke dhani khade to ho jate hain lekin ek ifrit hamare pairon ko yun kas leta hai hum behis aur be-dast-o-pa ho jate hain khwabon ki wadi mein pahunch kar khak samundar aur khala ke sab rangon se hath mila ke hans padte hain palkon ke sad-rang tilismon ki bahon mein aakhir kab tak hum sanso ko bahlaenge lamhon ke is jabr-e-musalsal se khud ko kab riha karenge hum khwab-zada pile mausam ke angaron se jale hue