kirae ka makan

ajab shai hai kirae ka makan bhi
makan bhi hai ye zalim la-makan bhi

badi ujlat mein banwaya gaya hai
lai se chhat ko chipkaya gaya hai

hai waqe ek nali ke kinare
mayassar hain mujhe kya kya nazare

nazir un ki jahan-e-khwab mein hai
bahaaran ki shab-e-mahtab mein hai

na kyon ho jism mera ranj se chur
faqat do mil hai ye shahr se dur

yahan aab-o-hawa ka maskh chehra
mila hargiz na mauqa dekhne ka

hum aapas mein bahut ghul-mil gae hain
mujhe jebon mein chamgadad mile hain

hain baam-o-dar pe ye ghaarat-gar-e-hosh
bahaar-e-bistar-o-nau-roz-e-aghosh

hamari ab ye haalat ho gai hai
andheron se mohabbat ho gai hai

yahan din ko bhi ullu bolte hain
mere kanon mein amras gholte hain

jo duniya mein hain ye kide-makode
yahin pal kar jawan hote hain sare

ghubar-alud yun meri jabin hai
kahin sidhi kahin kuchh bhi nahin hai

isi sidhi ka hai wo waqia bhi
ludhak kar mar gai jo sas meri

yahan chuhon ke bil itne bade hain
kai sabit qadam in mein gire hain

mujhe bhi dur ki ek roz sujhi
kisi bil ko main khodun ji mein aai

jo khoda chashm-e-hairan ne ye dekha
ki ek leader numa mota sa chuha

dabae munh mein ek khasa batasha
mere moze pahan kar ja raha tha

wahin ek chuhiya aa nikli kahin se
tapakta naz tha us ki jabin se

basa tha itr mein har resha us ka
pare tha arsh se andesha us ka

bahut ban-than ke nikli thi bichaari
miyan chuhe ne fauran aankh mari

nigah-e-ghair se sharma gai wo
miyan chuhe se phir takra gai wo

mile yun talib-o-matlub baham
majazi ishq ka lahraya parcham

gharaz chuhe qayamat dha rahe hain
dar-o-diwar par mandla rahe hain

main laya tha kahin se ek billi
pakad kar le gae chuhe use bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close