hae aaya nahin us dar se bulawa mera ab hai aghyar ke hathon mein mudawa mera dast-e-aghyar mein har jurm kaman ho jae tir-e-dushnam meri samt rawan ho jae zakhm mathe pe lage gar to koi fikr nahin shikwa-e-dost kisi taur bayan ho jae mere shaffaf libaade pe syahi mal do mujhe gumnami ki daldal se bacha lo logo mere na hone ka ehsas nahin hai us ko tum sar-e-bazm mera nam uchhaalo logo hae aaya nahin us dar se bulawa mera ab hai aghyar ke hathon mein mudawa mera