zindagi ke natak mein ek adakara hun main ye hoga alamiya ya razmiya kaun bata sakta hai jab parda uthta hai mujhe apna kirdar ada karna hota hai kuchh soche-samjhe baghair dusre adakaron ke ishaaron par bolne padte hain apne mukalme mere kirdar hain be-shumar mukhtalif jazbaat liye madad karne ke liye mujhe pas-e-parda koi nahin hai kya main ne apna kirdar sahih nibhaya jo kahna tha sahi kaha sahi dhang se kya main na-kaamyab thi kya samain ki taliyan aur naqqadon ki dad main ne hasil ki ya phir sab ki nazron mein gir gai in sawalat ka waqt hi jawab dega parda girne ke baad