meri likhne mein umr guzri hai teri padhne ki umr hai ladki teri sochon ki sab khabar hai mujhe mujh pe ye waqt aa ke bit chuka main bhi khud se sawal karta tha kis ki ghazlon mein kis ke jalwe hain kis ka chehra hai kis ki nazmon mein kaun rota hai kis ke lahje mein kis ke sheron mein kis ki baaten hain phir jawabaat mil gae mujh ko ab hansi aati hai sawalon par aur tujh par bhi aur khud par bhi tujhe malum kya ki ek aamad kitne jazbon se hamila ho kar let kar ek beswa ki tarah kore kaghaz ke sard bistar par wo harami kalam janti hai jis pe fatwe faqih-e-shahr ke hain jo khudaon ko gali lagta hai jis pe rajat-pasand kudhte hain jis pe jiddat-parast hanste hain jis ka thattha udate hain launde jis ke fan ka zamana bit gaya jis se nafrat hai ilm walon ko jis pe khud mujh ko ghussa aata hai jise tu bhi samajh nahin pati nam apna khurach ke jis par se main ne raddi mein barha becha aur cigarette kharide apne liye aur is dil ko aag mein phunka jis ke jazbon se hamila ho kar kore kaghaz ke sard bistar par let kar ek beswa ki tarah meri qudrat ki shahkar aamad wo harami kalam jannati hai teri sochon ki sab khabar hai mujhe mere sheron mein kaun hai mat soch teri padhne ki umr hai ladki aur phir sochne se kya hasil barwar justuju hui bhi to kya meri ghazlon mein tu hui bhi to kya