wo ek be-jaan baadal hai use udna to aata hai baras kar apni surat hu-ba-hu rakhna nahin aata so jab is khub-surat ke badan ke lams ki khatir barasta hai bhigota hai use taskin se labrez karta hai to apni hi shabahat ka guman rakhe yaqin ijz kar ke is ke fani jism se ris kar zamin ka rizq banta hai to lagta hai kisi an-honi saat ne zamin ki tal par gir ke baqa ka git chheda ho