ye dharti ye jiwan-sagar ye sansar hamara hai amrit baadal ban ke uthe hain parbat se takraenge kheton ki hariyali ban kar chhab apni dikhlaenge duniya ka dukh-sukh apna kar duniya par chha jaenge zarra zarra is duniya ka aaj gagan ka tara hai ye dharti ye jiwan-sagar ye sansar hamara hai dukh bandhan kat jaenge sukh ka sandesa aaega mitti ab sona uglegi baadal hun barsaega mehnat par hai jis ka bharosa mehnat ka phal paega apne hi kas-bal ka samundar waqt ka bahta dhaara hai ye dharti ye jiwan-sagar ye sansar hamara hai sapnon ke sundar aanchal se aasha rup dikhati hai apni hi aawaz ki lai par sari duniya gati hai aaj tirange ki lahron mein bijli si lahraati hai ek hi war mein ab ai sathi dushman se chhutkara hai ye dharti ye jiwan-sagar ye sansar hamara hai