lo pau phati wo chhup gai taron ki anjuman lo jam-e-mahr se wo chhalakne lagi kiran khichne laga nigah mein fitrat ka bankpan jalwe zamin pe barse zamin ban gai dulhan gunje tarane subh ka ek shor ho gaya aalam mai-e-baqa mein sharabor ho gaya phuli shafaq faza mein hina tilmila gai ek mauj-e-rang kanp ke aalam pe chha gai kul chandni simat ke gulon mein sama gai zarre bane nujum zamin jagmaga gai chhoda sahar ne tirgi-e-shab ko kat ke udne lagi hawa mein kiran os chat ke machli jabin-e-sharq pe is tarah mauj-e-nur lahra ke tairne lagi aalam mein barq-e-tur udne lagi shamim chhalakne laga surur khilne lage shagufe chahakne lage tuyur jhonke chale hawa ke shajar jhumne lage masti mein phul kanton ka munh chumne lage tham tham ke zau-fishan hua zarron pe aaftab chhidka hawa ne sabza-e-khwabida par gulab murjhai pattiyon mein machalne laga shabab larzish hui gulon ko barasne lagi sharab rindan-e-mast aur bhi sarmast ho gae tharra ke hont jam mein paiwast ho gae doshiza ek khush-qad o khush-rang-o-khub-ru malan ki nur-dida gulistan ki aabru mahka rahi hai phulon se daman-e-arzu tifli liye hai god mein tufan-e-rang-o-bu ranginiyon mein kheli gulon mein pali hui nauras kali mein qaus-e-quzah hai dhali hui masti mein rukh pe baal pareshan kiye hue baadal mein sham-e-tur farozan kiye hue har samt naqsh-e-pa se charaghan kiye hue aanchal ko bar-e-gul se gulistan kiye hue lahra rahi hai baad-e-sahar panw chum ke phirti hai titari si ghazab jhum jhum ke zulfon mein tab-e-sumbul-e-pechan liye hue aariz mein shokh rang-e-gulistan liye hue aankhon mein ruh-e-baada-e-irfan liye hue honton mein aab-e-lal-e-badakhshan liye hue fitrat ne tol tol ke chashm-e-qubul mein sara chaman nichod diya ek phul mein ai hur-e-bagh itni khudi se na kaam le ud kar shamim-e-gul kahin aanchal na tham le kaliyon ka le payam sahar ka salam le 'kaifi' se husn-e-dost ka taza kalam le shaer ka dil hai muft mein kyun dard-mand ho ek gul idhar bhi nazm agar ye pasand ho