kisi ki yaad ka chehra mere viran ghar ki adh-khuli khidki se jo mujh ko bulata hai samay ki aankh se tuta hua tara jo akasr raat ki palkon ke pichhe jhilmilata hai use main bhul jaungi mulaem kasni lamha kahin bite zamanon se nikal kar muskuraata hai koi bhula hua naghma faza mein chupke chupke phail jata hai bahut din se kisi ummid ka saya kathin rahon mein mere sath aata hai use main bhul jaungi purani diary ki shokh tahriron mein jo ek nam baqi hai kisi manzar ki khushbu mein rachi jo rahat-e-gumnam baqi hai adhure naqsh ki takmil ka jitna bhi jo bhi kaam baqi hai ye jitne did ke lamhe ye jitni sham baqi hai use main bhul jaungi kisi ki yaad ka chehra use main bhul jaungi use main bhul jaungi main akasr sochti to hun magar wo yaad ka chehra!! magar wo adh-khuli khidki!!