bachchon ka sal ammi kahiye manaen kaise hote nahin hain kafi deti ho tum jo paise das paise ka ghubara ab ho gaya hai pandrah mahnga hua hai ammi lo choklet pyara munni bhi ro rahi hai kahti hai do malai kulfi bhi mahngi mahngi mahngi hui mithai tum ne hi to kaha tha le kar meri balaen bachchon ka sal ammi kahiye manaen kaise aakhir ye kya sabab hai ki sal ke shurua se tum de rahi ho paise kyun hath roke roke aankhon mein aansu la kar kahne lagin ye ammi majbur ho gai hun ai mere nanhe-munne sarkar hi ne is ka elan kar diya tha unnis sau unasi bachchon ka sal hoga lekin bhala ho bachchon is sal ke bajat ka jis ne hamare upar taxon ka bojh dala dil mein to hain umangen la dun tumhein khilaune majbur kar diya hai par mulk ke bajat ne socha nahin hai shayad netaon ne hamare khushiyan manaen kaise bachche ye pyare pyare pyare