sona so kar nind mein khona band karo ye band karo apne bachpan ko baat baat par ghairon ki shunawai mein phir bona band karo tum laut kabhi na paoge us aasman ki chhanw mein tum wapas kabhi na jaoge apni shunawai binai ko lams mein aati tanhai ko phir se kabhi na paoge band karo tum guzre us aangan ki thandak in talwon mein phir se sahna band karo ye sona so kar nind pirona bite shajar ke bijon ko ab nind ki mitti mein phir bona band karo is shajar ki chhanw ke bhitar tum laut kabhi na paoge aur maut ka ujla suraj tum ko bedari mein yahan jala kar khak karega talwon ki thandak ko lab ko lams ko bhi tanha har shab ko bedari mein yahan jala kar khak karega sona so kar nind mein khona band karo tum khwab ki haalat mein ab rona band karo tum laut kabhi na paoge