lamha lamha roz-marra zindagi ke sath hai ek lamha jo kisi aaise jahan ki zindagi ka hath hai jis mein main rahta nahin jis mein koi rahta nahin jis mein koi din nahin hai raat ka pahra nahin jis mein sunta hi nahin koi na koi baat hai roz-marra zindagi se yun guzarta hai kabhi sath le jata hai guzri umr ke hisse kabhi jo basar ab tak hua us ko ghalat karta hua aur hi ek zindagi se aashna karta hua jo guman tak mein na tha us ko dikha jata hua wahm tak jis ka na tha us waqt ko lata hua phir chala jata hai apne asl ke aasar mein aur hum masruf ho jate hain phir apne roz-o-shab ke karobar mein