koi qimat lagane wala ho main bhi nilam hone aaya hun apne mazi ke bojh hain sar par ghadiyan bhar bhar ke dard laya hun ai meri be-zaban be-zari mujh se itna na ruth mere liye main ne apne hasin lamhon mein tujh ko shadabiyon ke khwab diye ab wo sab khwab kab ke tut chuke sare ehsas tut-phut chuke waqt ki be-sabaat rahon mein sare chehre gulab chhut chuke ab to bas kuchh bachi-khuchi yaaden aur kuchh tishna si mulaqaten hasraten hain ki jin ki tabani meri miras hai main laya hun koi qimat lagane wala ho main bhi nilam hone aaya hun