jang se hoga kuchh nahin hasil

khuda ke waste nafrat ka khel khatm karo
ye dushmani ye adawat ka khel band karo

ki hogi jang se donon taraf hi barbaadi
marenge log yaqinan mitegi aabaadi

lahu bahega jalenge makan logo ke
tabah honge bas is se jahan logo ke

zamin phategi to phir aasman tutega
ye sari duniya ka mahaul chikh utthega

lagega dagh phir insaniyat ke daman par
girenge bam ke ye gole kisi ke aangan par

ye jang waqt ki tahzib ko kuchal degi
ye jang amn ke phulon ko bhi masal degi

ki is se amn ki tahzib ki tabahi hai
ye kaisa zulm hai ye kis ki bad-nigahi hai

na hoga jang se tum ko kabhi bhi kuchh hasil
panap na paega sadiyon talak ye mustaqbil

ye jang kuchh nahin degi tabahiyon ke siwa
natija kuchh bhi na hoga buraiyon ke siwa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close