kitni takhir se mahr ubhra teri mehr ka aaj khira aankhon ki hai majburi koi dhundla-pan samne aa ja magar dhimi zara sans ki lau aur sulga de koi bite samay ka sandal phir khamoshi ki kathali mein sabhi yaaden undel saint kar dil ke nihan-khane se laun main bhi dastanen ki jinhen hont na unwan mile gundh kar arq-e-nadamat mein ba-sad-fan-kari un se phir donon kashiden koi surat aisi ungliyan jis pe na utthen han nigahen uthen waqt ka reg-e-rawan jis ko na dhundla pae jis ka ruman na le jae kahin mazi mein jis ke maujud hi mein khud ko samoya jae waqt-e-ainda ko bhi jis mein duboya jae