ye jo kaha jata hai bhai ishq bhi tola jata hai sach hai ye qaul bhi waise to tarikh bhi apne aap ko dohraati hai jaanch mein sachcha utra hai jab koi phir to wahi sadiq kahlata hai tarikh yahi kahti hai ishq mein aag ke dheron par leta jata hai jis ki khatir apne bachche ki gardan pe chhuri bhi pheri jati hai tarikh yahi kahti hai ishq mein kuda bhi jata hai samundar mein aur jis ki khatir pet mein machhli ke phir utra jata hai tarikh yahi kahti hai ishq mein jismon ko bhi khun se rangin kiya jata hai bhuk satati hai jab bhi to phir pet pe patthar bhi bandha jata hai ishq mein ghar ko bhi kangal kiya jata hai jalti ret pe bhi leta jata hai phir sine par garm chattan ko bhi to sahna padta hai tarikh yahi kahti hai ishq mein aksar bhuka pyasa rah kar deni padti hai qurbani maqtal mein