koi tagore ki kawita hai log jab shairi mein jite the tu usi daur ki kawita hai dudhiya raste ke kone mein apne hone mein aur na hone mein jaane kitne baras sukun kar ke apni aawaz mein junun bhar ke phailti raat ke kinare par bhediya mahtab se uljhe ek haqiqat badi samajat se apni marzi ke khwab se uljhe dard ke dil-fareb rishte mein jaise ganga chanab se uljhe ishq ne hausla diya warna kis mein himmat janab se uljhe dil ke bangal ki khalijon mein gunjte shor ki kawita hai tujh ko silhat mein soch kar likkha tu ki lahore ki kawita hai manta hi nahin hai dil mera tu kisi aur ki kawita hai