bikhar gae hain sitare ban ke us ek suraj ke kitne tukde har ek tukda alag jahan hai sarhad ke bandhan mein aasman hai zamin ka to wajud kya hai har ek kun pe khuda likha hai har ek khuda ka hai apna shajra har ek shajre ki apni duniya har ek duniya ke apne hisse har ek hisse ke apne rishte har ek rishte mein sau diwaren har ek diwar mein dararen darar mein hain nae jazire har ek jazire ke apne wirse har ek wirse ke gham apne apne har ek apne ke qisse apne mahal jo tahzib-o-irtiqa ke mazi pe ban rahe hain hai un ki buniyaad kitni gahri main un ki gahrai jaanta hun