sari chilmanen tiliyon ki shakl mein bikhar chuki hain kamzor dhage kahaniyan banne se aari momi shamen pighal pighal kar zamin-bos parwane rasta bhatak chuke hain be-rang os ke dhabbe ja-ba-ja aanganon mein phaile hain suraj ne aankhen nahin kholin qatra qatra pi rahi hai ghas chand ki jhuti sharab khakistari yaadon ki bara-dari mein an-chahe qadmon ki bazgasht ubharti dubti rahti hai zaban ki nok par zahr ki chand bunden maidan-e-harb se khabar aane tak ya phir us angushtari ke kho jaane tak