agarche sut se takle ne dhage ko na khincha tha mere reshe bunat ke marhale mein the ragen man ki duridon se na bichhdi thin main apne jism se kuchh fasle par tha magar mere aqide ka tayyun karne walon ne mere maslak ke bare mein jo socha tha use tajsim kar dala main jis dam apne hone par utar aaya mujhe taqsim kar dala kisi ne mere mathe par tilak dagha salibon ko meri chhati pe khincha aur kanon mein azan bhar di phir is ke baad peshani pe angare saliben apne sine par samaat par namida zang ke tale sambhaale main ne sari umr duniya ke tasarruf mein guzari hai meri fitrat simatna aur qismat tut jaana hai main para hun mujhe duniya masalti hai nafi isbaat ki zarben mujhe taqsim karti hain bikharta hun mere zarre thirakte hain to kahte hain hamein nabud mat karna ki jab taqsim hone ka amal mumkin nahin rahta to phir zarra zara bhar chot khane par dhamake ko ugalta hai dhamake ko samajhte ho dhamaka jis se harf-e-kun tapakta hai hamein nabud mat karna