raha wo jirga jise char gai hai angrezi so wan khuda ki zarurat na ambiya darkar wo aankh mich ke bar-khud ghalat bane aise ki asia ki har ek chiz par padi dhutkar jo poshishon mein hai poshish to pas-darida-coat sawariyon mein sawari to dum-kata rahwar jo ardali mein hai kutta to hath mein ek bed bajate jate hain siti sulag raha hai sigar wo apne-ap ko samjhe hue hain gentleman aur apni qaum ke logon ko jaante hain gawanr na kuchh adab hai na akhlaq ne khuda-tarsi gae hain un ke khayalat sab samundar par wo apne zoam mein liberal hain ya radical hain magar hain qaum ke haq mein ba-surat-e-aghyar na india mein rahe wo na wo bane english na un ko charch mein honor na masjidon mein bar na koi alam na sanat na kuchh hunar na kamal tamam qaum ke sar par sawar hai adbar