sham rukhsat ho chuki thi ehsas ke talwon ko sahla kar kitna sukun mila tha tab nange panw ghas par chalne ko bada dil chaha ki achanak raat aai siyah kafan mein apna munh chhupae aur be-tartib shab-o-roz ke darmiyan tangi hui algani par majbur zindagi apne kartab dikhlane lagi aur raat jis tarah aasman par aawara baadalon ke tukde chandni se athkheliyan karte hue sharminda ho jate hain raat usi tarah mere jism ke nasheb-o-faraaz se guzarti hui sharminda ho gai sham rukhsat ho chuki thi