main jin ko chhod aaya tha shanasai ki basti ke wo sare raste aawaz dete hain nahin malum ab kis waste aawaz dete hain lahu mein khak udti hai badan khwahish-ba-khwahish dah raha hai aur nafas ki aamad-o-shud dil ki na-hamwariyon par bain karti hai wo sare khwab ek ek kar ke rukhsat ho chuke hain jin se aankhen jagti thin aur ummidon ke rauzan shahr-e-ainda mein khilte the bahut aahista aahista andhera dil mein, aankhon mein, lahu mein, bahte bahte jam gaya hai waqt jaise tham gaya hai