nahin ye suraj ke shahr ka aadmi nahin hai ki ye to marne ke baad footpath par pada hai ye lash hum sab ki tarah suraj ke sath gardish mein kyun nahin hai? padho to is diary mein kya hai? nuche-khuche ek waraq pe kuchh yun likha hua tha main apni duniya-e-fikr-o-fan taj ke aaj ban-bas mein pada hun zaruraton mein ghira hua hun yahan to do aur do ka hasil hamesha hi chaar hath aaya ki panch na-mumkinat mein hai azim fankar ka qalam ho ki kar-khane kisi ko takhliq-e-husn ki aarzu nahin hai muqaddas aag un ke dil ki yun pet ke jahannam mein jal rahi hai ki zindagi ki jo quwwaten hain wo khud ko zinda hi rakhne mein sarf ho rahi hain machine ki tarah zehn bhi kaam kar rahe hain ragon mein jite lahu ke badle raqiq loha bhara hua hai machine ki tarah panw chalte hain aadmi ka jalal gardish mein sar-nigun hai irada wa ikhtiyar ek iztirab-e-sangin hai jis se bach kar koi nahin do ghadi kisi se jo be-gharaz ruk ke baat kar le (kise khabar, aadmi ke do mithe bol ko main taras gaya hun) yahan ye tahrir aansuon se miti hui thi aur is se aage ye shahr suraj ka shahr hai is ke roz-o-shab ka pata nahin hai na aaj tak waqt aur tarikh ka mujhe ilm ho saka hai ki mere ehsas mein koi aaj hai na kal aur ye raat hai ya siyah suraj? ghurub ho kar bhi aasman o zamin se paiham guzar raha hai bas is jahan mein siyah o raushan hamesha din hai hamesha suraj hi apne sar par khada hua hai ye kaenat ek shikasta gadi hai ek pahiye pe chal rahi hai zamin ka chand kya khabar kis andhere patal mein gira ho har ek shai bhagti hui ek dusre ki talash mein gum bas ek tasadum har ek shakhs ek daudti lash hai ki ek dusre se wahshat-zada, gurezan sab apna suraj se munh chhupae talash mein waqt ki hirasan kisi ko itni bhi sham milti nahin ki thoda udas ho len yahan pe jumle ajib se the lahu ke dhabbon se mit gae the