kundan sath baras ka budha chhote qadam uthata hai subh sawere dhire dhire pul par baithne aata hai daen baen us ki nigahen daudti hain kuchh dhundhti hain tis baras pahle ka zamana aankhon mein phir jata hai bite dinon ka tasawwur dil ke dukh ko aur badhata hai duniya ek din us ki thi ye duniya aakhir kis ki hui kundan chalte chalte baithe baithe bhi thak jata hai jaise use qurb-e-manzil se dar lagta ho khauf aata hai kundan dhire chalta hai aur tezi se ghabraata hai bachchon ki chusti chaalaki par aksar jhunjhlata hai ek musibat ek qayamat nae zamane ki aulad agle waqt ki azmat aur sharafat kar dali barbaad aksar agle waqt ki baaten hans hans ke dohraata hai us ki kamar ka kham aksar is mauqe par tan jata hai jab koi school ko jati phul si shoala-gun ladki dekhta hai bol uthta hai ye kaisa zamana aaya hai rang-rup ke bechne wali ka sa swang rachaya hai achchha ishwar teri marzi!! ye bhi musibat sahna thi shukr hai agle waqton ki beti ke aise dhang na the laj hi us ka jauban thi aur laj hi us ka gahna thi lekin doshiza ke sarapa mein kundan kho jata hai kundan subh-sawere nahr ke pul par baithne aata hai aksar agle waqt ki baaten hans hans ke dohraata hai us ki kamar ka kham aksar is mauqe par tan jata hai kitni khush-uslubi se apni khiffat ko chhupata hai