wo bichhda hai to yaad aaya wo aksar mujh se kahta tha mohabbat wo nahin hai jo ye nasl-e-nau samajhti hai ye pahron phone par baaten ye aae din mulaqaten agar ye sab mohabbat hai to tuf aisi mohabbat par mohabbat to mohabbat hai visal o wasl ki khwahish se baala-tar kaha karta mohabbat qurb ki khwahish pe aae to samajh lena hawas ne sar uthaya hai hawas kya hai faqat jismon ki pamali faqat tazlil ruhon ki kaha karta mohabbat aur hoti hai hawas kuchh aur hoti hai sau jab bhi qurb ki khwahish pe aa jae mohabbat to suno phir der mat karna wahin rasta badal lena wo bachhda hai to yaad aaya