khalid jawed ke nam magar billi ko rona chahiye tha mujhe hoshiyar kar ke hi is raat sona chahiye tha ki wo ghar mein hai wo yani meri maut use kuchh bhi nahin karna pada mujhe to sirf lamhe bhar ki is sharmindagi ne mar dala wo mere haal par munh phad kar jab hans rahi thi ki jab wo samne aai meri aankhon mein khwabon ki chamak thi hatheli par dawa ki goliyan thin jin ko badla tha sawere doctor ne aur main nihayat mutmain tha kal ko le kar ye manzar yun nahin kuchh aur hona chahiye tha aur bahut mumkin hai hota bhi agar mujh ko zara aagah kar deti wo kutiya wo meri billi